Pages

Hanstey Howe Chehray, Urdu Poetry, Mohbbat Poetry, Mohabbat Ka Anjam,

Tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin
Hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai,

Chand sikoon ke ivaz cheen li ghairat meri
Kitni kam is ne muqqarar meri keemat ki hai,

Kon tha jis ne bhujaye mere ghar ke cheeragh
Janay kis ne yeh siyahi meri qismat ki hai,

Ab woh tardeed pe tardeed kiye jata hai
Main ne tou baat ki thori si wazahat ki hai,

Ghar main dar aya hai dushman tou shikayat kaise
Ham ne khud us ko faraham ye sahoolat ki hai,

Shairy kia thi faqt shair ke pairahe main
Hum ne aik ahad ki tareekh ibarat ki hai.


Just Images Poetry

No comments:

Post a Comment