Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Image Poetry, Urdu Image Ghazal, Sad Poetry, Urdu Sad Poetry, Heart Touching Poetry, Pashto Poetry, Pashto Image Poetry, Pashto Sad Poetry, Funny Images, Funny Poetry, etc..
Pages
▼
Heart Touching Poetry, Heart Touching Ghazal, Ghazl Poetry,
Dekha palat k us ne k hasrat usay bhi thi
Hum jis par mit gaye thay muhabat usay b thi,
Chup ho gaya tha dekh kr wo bhi idher udher
Duniya se meri tarha shikayat usay b thi,
Ye soch kr andheray galay se laga liye
Raaton ko jaagnay ki aadat usay b thi,
Wo ro dia tha mujko pareshan dekh kr
Us din hala'n k meri zaroorat usay b thi,
Un patharon k sath nibhani pari usay
Jin se faqat muje nhi nafrat usay bhi thi.

Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazal With Picture, Mohsin Naqvi Poetry,
Gino Na Zakhm Na Dil Say Aziyatein Poocho
Jo Ho Sakay To Hareefon Ki Niyatein Poocho,
Hawa Ki Simt Na Dekho, Usay To Aana Hai,
Chiraagh_E_Akhir_E_Shab Say Wasiyatein Poocho,
Ujarr Chukay Ho To Ab Khud Pay Sochna Kaisa ?
Kaha Tha Kis Nay K Us Ki Mashiyatein Poocho,
Sanaan Pay Sajj Gaye Lekin Jhukay Na Sir Apne,
Sitam Garon Say Hamari Hemayatein Poocho,
Hazaar Zakhm Saho Phir Bhi Chup Raho "MOHSIN"
Nahi Zaroori K Yaaron Ki Niyyatein Pocho.

Mujhko Mara Hy Hr Ek Dard-O-Dawa Se Pehle, Urdu Poetry, Picture Poetry, Urdu Images Poetry,
Mujhko Mara Hy Hr Ek Dard-O-Dawa Se Pehle
Di Saza Ishq Ne Hr JurM-O-Khata Se Pehle,
Aatish-E-Ishq Bharakti Hy Hawa Se Pehle
Hont Jalte Hain Mohabbat Me Dua Se Pehle,
Ab KaMi Kya Hy Tere Be'Sar-O-SaMano Ko
Kuch Na Tha Teri KasaM Tarq-O-Fana Se Pehle,
Ishq-E-Be'baak Ko Dawy Thy Bohat Khalvat Me
Kho Diya Sara BharaM SharM-O-Haya Se Pehle.

Urdu Poetry, Urdu Images Poetry, Sad Poetry, Picture Poetry,
Shanasaai Ki Deewar Ko Gir Jany De
Tu Mujhe Paas Se Chup Chaap Guzar Jany De,
Zindagi Tere Gham Me Khud Hi Bikhar Jaye Gi
Hijr K Dard Ka Mafhoom Samajh Aany De,
Haan Tere Bad Sambhal Jain Gy Rafta Rafta
Hum Isi Aas Me Hain Hum Ko Behel Jany De,
Apni Marzi Se Samete Hain Ye Anso Main ne
Mujh Ko Is Dard K Darya Me Utar Jany De,
Gham-E-Tanhai Tujhe Khaak Na Kr De Akhir
Thaam Ly Haath Koi Meri Fikar Jany De.
Kaha tha yaad hai tum ne, Heart Touching Poetry, Romantic Images,
Kaha tha yaad hai tum ne
Ke main hoon chand
Aur tum chandni meri
Magar jab chand chup jaye
Kaho phir chandni kesi?
Kaha tha yaad hai tum ne
Ke main hoon phool
Aur tum phool ki khushbu
Magar jab phool murjhaye
Kaho khushbu bhala kesi,
Kaha tha yaad hai tum ne
Ke main hoon dil
Aur tum dharkan
Magar dil toot jaye tu
Kaho phir dharknain kesi,
Kaha tha yaad hai tum ne
Ke main hoon aas
Aur tum zindagi meri
Magar jab aas tootey tu
Kaho phir zindagi kesi?.
Ke main hoon chand
Aur tum chandni meri
Magar jab chand chup jaye
Kaho phir chandni kesi?
Kaha tha yaad hai tum ne
Ke main hoon phool
Aur tum phool ki khushbu
Magar jab phool murjhaye
Kaho khushbu bhala kesi,
Kaha tha yaad hai tum ne
Ke main hoon dil
Aur tum dharkan
Magar dil toot jaye tu
Kaho phir dharknain kesi,
Kaha tha yaad hai tum ne
Ke main hoon aas
Aur tum zindagi meri
Magar jab aas tootey tu
Kaho phir zindagi kesi?.
Heart Touching Poetry, Sad Images, Urdu Poetry, Urdu Picture Poetry,
Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle,
Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle,
Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle,
Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle,
Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle,
Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle,
Apne Dushman se main be-waja khafa tha
Mere qatil to mere apne hawari nikle.

Heart touching Urdu Poetry, Sad Poetry, Sadest Urdu Poetry, Sadest Pictures, Images Poetry,
Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus
Dil ne jhailay hain mohabbat mein wo azaar k bus,
Ek lamhay mein zamanay mere hathon se gaye
Es qadar taiz hui waqt ki raftaar k bus,
Tu kabhi rakh k humein dekh to bazaar k beech
Es tarha toot k aaein gay kharidaar k bus,
Kal bhi sadiyon ki musaafat pe kharray they donon
Darmiyaan aaj bhi parti hai wo deewar k bus,
Ye to ek zid hai k Mohsin main shikayat na kerun
Warna shikway to hain etnay mere yaar k bus.

Sad Poetry, Pashto Poetry, Sadest Poetry Ever, Images Poetry, Sad Picture Poetry,
Zama Da Jwand Da Majboro Na Janan Sa Khbar Dai
Zaka Kho Os Hum La Da Masto Bangro Shor Ghwari,
Da Riwajono, Tofanona. Ye Mra Kawale Nashi
Da Armanono Diwa Tal Da Zrono Or Ghwari,
Pa Tabibano Hakemano Na Raghegi Ashna
Da Zra Zakhmona Kho Da Tod Nazar Takor Ghwari,
Nadan Zargai Me Da Khazan Pa Ma’Ana Sa Khabar Dai
Che Sra Guloona Rana Tol Umar Samsor Ghwari,
Pa Jaragano Aswelo “Meena” Gatale Nashi
Daga Bazi Gatal Kho Hum Da Naseeb Zor Gwari.