Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai,
Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi
Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai,
Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein
Meri khamoshi bhi pehlu meray baaan ka hai,
Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani
Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai,
Bichar ke us say main sirf is ly nhi bikharta
Wo keh gaya tha yehi waqt Imtehaan ka hai.

No comments:
Post a Comment