Raat ki khamoshi mein aksar yaad tum ajatay ho
Lamha lamha tarpatay ho lamha lamha tarsatay ho,
Kabhi badal ki tarah aa kar rim jhim baras jatay ho
Kabhi sooraj ban kar kirnon ki tarah bikhar jatay ho,
Kabhi andharay mein aa kar apnay deep jalatay ho
Khamoshi mein bhi mohabbat k geet gungunatay ho, lekin,
Lamha lamha tarpatay ho lamha lamha tarsatay ho
Kabhi phoolon ki tarah pora aalam mehkatay ho,
Kabhi maujon ki tarah aa kar palat jatay ho
Kabhi be intiha muskuratay ho kabhi be inteha satatay ho,
Magar phir be meray dil mein utartay jatay ho
Phir har dafa aa kar mohabbat ka ik naya rukh dikhatay ho
Lekinlamha lamha tarpatay ho lamha lamha tarsatay ho.

No comments:
Post a Comment