Mohsin Naqvi, Mohsin Poetry, Urdu Ghazal Poetry, Image Poetry, Sad Images, Picture Poetry,


Zamane bhar ki nigahon se jo Khuda sa lage
Wo ajnabi hai magar mujh ko aashna sa lage,

Najane kab meri dunya main muskuraye ga
Wo shaks k khuabon main bhi khafa sa lage,

Ajeeb cheez hai yaro ye manzilon ki hawis
K rahzan bhi musafir ko rehnuma sa lage,

Dil tabah tera mashwara hai kya k mujhay
Wo phool rung sitara bhi bewafa sa lage,

Huwi hai jis se mun’nawar hai aik ankh ki jheel
Wo chand aaj bhi “Mohsin” ko kam numa sa lage.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...