Khwabon Ko Asliat Mein Dekhna Abhi Baqi Hay
Zakhm-E-Dil-O-Tanhai Aazamana Abhi Baqi Hay,
Parda To Abhi Utha Hi Nahi Barkhudar
Aasman Se Bijli To, Abhi Girna Baqi Hay,
Nazaron Se Sawalon Ki Bauchar Abhi Baqi Hai
Jawab Dene Ki Mahirat Ki Imtihan Abhi Baqi Hay,
Jhuken Chahey Unki Ya Tumhari Nazar
Ek Ranjish Bhari Kayaamat Aani Abhi Baqi Hay,
Anaginat Masti Ke Jalwe Abhi Baqi Hay
Husn-Parasti Ka Sabaq Seekhna Abhi Baqi Hay,
Ginana To Hai Har Haal Mein Kitne
Bit Gaye Din Kitne Guzaarnaa Baqi Hay,
Kya Naseehat Dun Mere Dost, Kuch Bhi Nahin Baqi Hay
Phir Na Kehna Duniyadari Ab Kya Dekhna Baqi Hay,
Armaan Ashkon Mein Ghul Gaye, Dil Bikhar Kar Chur ‘Satish’
Murda To Hum Kabke Bane, Faatiyaa Padhnaa Baqi Hay.

No comments:
Post a Comment