Pages

Laho luhaan chiraghon k sar mily hain mujhay, Urdu Ghazal, Picture Poetry,

Laho luhaan chiraghon k sar mily hain mujhay
Tumhary shehar main aisy bhi sar milay hain mujhay,

Mujhay batao agar ghoonsly salamat thay
Hawa main urrty huy kis k par milay hain mujhay,

Main tu apnay say kisi shakhs ki talaash main tha
Magar yahan tu sbhi Moatbr milay hain mujhay,

Parindy lout kr na ayen jin ki shaakhon par
Meray naseeb k aisay shajar milay hain mujhay.

Udaas Poetry, Urdu Poetry, Sad Picture Poetry, Sad Picture,

Udaasi tum pay beety gi tu tum bhi jaan jao gay

k kitna dard hota hai nazar andaaz krnay say.

Mohabbat Poetry,

Mujh main be-loos mohabbat k sewa kuch bhi nahi 
Tum agar chaho tu meri saansou ki talashi lay lo.

Mohsin Poetry

Badi Ajeeb Hai Is Nadaan Dil Ki Khwahish Mohsin

Ek Shaks Iska Hona Nahi Chahta,Or Yeh Use Khona Nahi Chahta.

Pyar, Ishq, Muhabbat, Sad Mohabbat Poetry,

Rahega ishq tera khaaak mein mila k mujhy

k ibteda mein huye ranj intehaaa k mujhay.

Sagar Poetry, Urdu Sad Poetry, Picture Poetry, Sad Picture,

Apni Neend Sey Mujhey Kuch Youn Bhi Muhabbat Hai Sagar

K Us Ney Kahaa Tha Mujhey Paana Tumharey Liye Sirf Ik Khuwaab Hai.

Mehndi Poetry, Romantic but said Poetry, Urdu Poetry, Picture Poetry, Mehndi Picture,

Tery kehne py lgayi hai yeh mehndi main ne

Eid per ab na tu aya tou qayamat hogi.

Mohsin Naqvi, Mohsin Poetry, Urdu Ghazal Poetry, Image Poetry, Sad Images, Picture Poetry,


Zamane bhar ki nigahon se jo Khuda sa lage
Wo ajnabi hai magar mujh ko aashna sa lage,

Najane kab meri dunya main muskuraye ga
Wo shaks k khuabon main bhi khafa sa lage,

Ajeeb cheez hai yaro ye manzilon ki hawis
K rahzan bhi musafir ko rehnuma sa lage,

Dil tabah tera mashwara hai kya k mujhay
Wo phool rung sitara bhi bewafa sa lage,

Huwi hai jis se mun’nawar hai aik ankh ki jheel
Wo chand aaj bhi “Mohsin” ko kam numa sa lage.

Mohsin Naqvi Poetry, Sad Urdu Ghazal, Ghazal Poetry, Images Poetry, Sad Images,


Zulm seh kar bhi samjhta hon k tu mera hai
Mere dushman tere chehre pe lahoo mera hai,

Subha dam shehar ki shorish tere dam se hogi
Raat k pichle pehar aalam hoo mera hai,

Mere hathon main chupe zakham se pehchan mujhay
Tere daman pe bhi ahsaan rafoo mera hai,

Ghir gaya hon main talatum main bhi zindaan ki tarah
Halka-e-mauj rawan touq-e-gulo mera hai,

Itni shohrat bhi kahan chahi thi khud se main ne
Apne hi shehar ka har shaks adu hai mera,

Dhoop chaaon ki ye rut dil main tehar jane de
Aks tera hai to saaya lab jo mera hai,

Patharon se muhabbat mujhay yun bhi hai “Mohsin”
Sangdil shehar main ik aayena ru mera hai.

Happy Eid Dear Friends, Eid Mubarak, Eid Mubarak Images,


Sufi soap,
Lado soap,
Robin neel,
Kashmir banaspati,
Habib cooking oil,
Dalda banaspati,
Metro milan agarbatti,
7up,
pepsi,
team,
sprite,
Dew,
National chat masla,
Surf excel,
Arial,
Tapal,
Lipton tea,
Walls ice cream,
AUR MERI TARAF SE
AP Ko BOHUT BOHUT
EID MUBARAK.

Eid Greeting Cards, Happy Eid of 2012, Eid Mubbarak,


khushion se bhari,
Phoolon se dhaki,
Khusbboan me basi,
Rango se saji,
Taroon me chupi,
Supnon me dhali,
Aur shabnam se dhuli,
EID Mubarak,
To u & all ur family.

Eid Greetings Cards, Eid Card, Happy Eid, Happy Eid of 2012,

Eid Mubarak to the Love of my Life....

May ALLAH Blessings be with you
today and always.

Eid Mubarak, Happy Eid, Happy Eid of 2012,


Khushyon k is pur masarrat moqay per
bohut bohat EID MUBARAK,
Dil ki gehraiyun say nikli hoi is dua k sath k
Khuda aap ki aur aap k sab chanay walon ki zindagi
ko khushion Rehmaton aur kamiyabi say bhar day,
her gham,dukh aur dard ko aap sab say door
bohut door ker de.
Ameen.

Ishq Hai Bekhudhi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jan


Ishq Hai Bekhudhi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jan
Puchho Na Zindagi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jan,

Phoolon Ki Taazgi Hai Kya Chaand Ki Chaandni Hai Kya
Rang Hai Roshni Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jan,

Meri Har Ek Soch Ki Hai Teri Zaat Tak Udaan
Aur Meri Shayri Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jan,

Meri Shaam-E-Fikar Mein Hai Tere Pyaar Ki Mehek
Phool Hai Kya Kali Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jan.

Urdu Poetry by Allama Iqbal, Image Poetry, Urdu Picture Poetry,

Be loos mohabbat ho be baak sadaqat ho

Seenay main ujala kar dil soorat meena de.